aansooN say tumhain alwidain kaheeNrazm gahaoN nay jab bhee pukara tumhaiNtum zafar mand to khair kya lot-tayhaar nay bhee na jee say utara tumhaintum nay jaaN kay iwaz aabroo baich deephir bhee ham nay kya hay gawara tumhainseena chakan-e-mashriq bhee apnay hee thayjin ka khooN mooN pay malnay kay tum aaey theyin kee taqdeer to kya badaltay magarin kee naslain badalnay ko tum aaey thayyaad hoN kay tumhain wo ayyam bheetum aseeree say jab lot kar aaey thayham dareeda jigar rastoN main khaRayapnay dil apnee aNkhoN main bhar laey thaykya khabar thee kay tum say shakista anaapnay zakhmoN kay pas chatney aaeN gayjin kay jabroN ka apnoN ka khooN lag gayazulm kee sab hadaiN patnay aaeN gayaur marg-e-bangal kay baad bolan mainshehrioN kay galay katnay aaing gayjaisay bartanwee raaj main gorakhaybaaghioN pay sitam aam un kay bhee thayjaisay saffaak goray vietnam maiNhaq parastoN pay ilzam un kay bhee thayaaj tum main aur un main faraq to naheeraifalaiN , wardiaN , naam un kay bhee thayaaj tum nay sarhad say mehran takyeh maqtal sajaey hain kyooN ghazioNkis shehehnshah-e-aali ka farman haykis kay aagay ho tum sar nigooN ghaziotum nay dekhay haiN jamhoor kay qaflayjin kay hathoN main parcham baghawat kay hainpapRioN par jamee papRiaN khoon keekeh rahee haiN yeh manzar qyamat kay hainkal tumharay liye pyar seenoN maiN thaab jo sholay uthay haiN wo nafrat kay haiNab to shair pay bhee qarz mattee ka hayab qalam maiN lahoo hay siyahee naheekhol utra tumhara to zahir huaPAISHA WAR QATILO, TUM SIPAHEE NAHEEab sab hee bay zameeroN kay sar chahiyeab faqat qissa e taj e shahi nahee
-Ahmed Faraz